chheD ai dil ye kisi shoKH ke ruKHsaron se

chhed ai dil ye kisi shokh ke rukhsaron se
khelna aah dahakte hue angaron se

hum shab-e-hijr mein jab soti hai sari duniya
zikr karte hain tera chhitke hue taron se

ashk bhar lae kisi ne jo tera nam liya
aur kya hijr mein hota tere bimaron se

chhed naghma koi go dil ki shikasta hain ragen
hum nikalenge sada tute hue taron se

hum ko teri hai zarurat na ise bhul ai dost
tere iqraron se matlab hai na inkaron se

hum hain wo bekas-o-be-yar ki baithe baithe
apna dukh-dard kaha karte hain diwaron se

ahl-e-duniya se ye kahte hain mere nala-e-dil
hum sada denge gham-e-hijr ke minaron se

ishq hamdardi-e-alam ka rawadar nahin
ho gai bhul 'firaq' aap ke gham-khwaron se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close