tanha tera khuda nahin ai aashna-e-raaz tera bhi karsaz hai mera bhi karsaz kya kahiye rahguzar-e-mohabbat ki dastan jo dushman-e-sukun hai wo hai mera chaarasaz ai jaan-e-muddaa meri jannat meri hayat tera khayal teri tamanna meri namaz naghme bhi hain pasand mujhe soz bhi aziz sarmaya-e-wafa hai meri zindagi ka saz kya din dikhae dekhiye insan ki sar-kashi sajdon se pa raha hun jabinon ko be-niyaz paigham-e-zindagi hai mohabbat ki har ada yani gunahgar-e-mohabbat hai pak-baz insaniyat hai marg-e-musalsal se ham-kanar mango dua hayat rahe gham se sarfaraaz ab tak hain yaad mujh ko wo paiham tajalliyan kitna nazar-nawaz tha har manzar-e-hijaz mujh ko 'matin' naz hai apne nasib par main banda-e-nasir hun main khadim-e-niyaz