chhed manzur hai kya aashiq-e-dil-gir ke sath khat bhi aaya kabhi to ghair ki tahrir ke sath go ki iqrar ghalat tha magar ek thi taskin ab to inkar hai kuchh aur hi taqrir ke sath pech qismat ka ho to kya kare is mein koi dil ko wabastagi hai zulf-e-girah-gir ke sath wo bhi kahte hue kuchh dur tak aae pichhe hum jo us bazm se nikle bhi to tauqir ke sath ye bhi ek wasl ki surat thi magar rashk-e-nasib us ki taswir kabhi ghair ki taswir ke sath wada-e-subh pe ab kis ko yaqin ho qasid aaj to jaan gai nala-e-shab-gir ke sath kaho ranjish ka sabab kuchh nahin meri hi suno uzr to chahiye karna mujhe taqsir ke sath aap dete hain aziyyat hi shikayat ki ewaz kuchh zaban se bhi to farmaiye tazir ke sath dekhiye mil hi gaya aap se wo shokh 'nizam' kaam jo kuchh kare insan sau tadbir ke sath