be-his o kaj-fahm o la-parwa kahe kal muarrikh jaane hum ko kya kahe is tarah rahte hain is ghar ke makin jis tarah bahra sune gunga kahe raaz-ha-e-zabt-e-gham kya chhup saken hont jab khamosh hon chehra kahe is liye har shakhs ko dekha kiya kash koi to mujhe apna kahe hai takallum aaina ehsas ka jis ki jaisi soch ho waisa kahe padh chuke dariya qasida abr ka kya zaban-e-khushk se sahra kahe bad-gumani sirf meri zat se main to wo kahta hun jo duniya kahe