chheda hai naya naghma hayat-e-abadi ne is bar tabassum na kiya sun ke kali ne lafzon mein utarne ka hunar sikh raha hun khatre mein hain alfaz ke sinon mein dafine wo hain ki bhatakte hain abhi pyas ke mare hum hain ki dubo aae sarabon mein safine sunta hun tadapte hue pani ka faqat shor hassas banaya hai mujhe tishna-labi ne aflak ke manzar hain mere samne uryan bakhshi ye bulandi mujhe be-baal-o-pari ne shadab nazar aate hain ashjar har ek samt kya shahr mein jangal ki hawa lai kisi ne pahlu mein dhadakta hai tadapta hai shab-o-roz bechain kiye rakkha hai mujh ko mere ji ne jo raste jate hain tere arsh ki jaanib wo raste bhi dikhlae mujhe dar-ba-dari ne