sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai aur jo mina bhari thi bhari rah gai kya ghazab hai nasheman sulagta raha aur shakh-e-nasheman hari rah gai aakhirash kaam aa hi gai khamushi lafz-o-mani ki parda-dari rah gai har nazar ban gai apne sine ka tir ek khalish ban ke dida-dari rah gai nasl-e-adam se itne uthe kirdgar apne lab si ke paighambari rah gai aadmi ka khuda ban gaya aadmi dawar-e-hashr ki dawari rah gai mera har naqsh-e-pa ban gaya sang-e-mil khizar ki zahmat-e-rahbari rah gai 'shor' daman-e-gham ho gaya tar tar har masarrat ki bakhiya-gari rah gai