chhin kar khwab mere meri talab puchhte hain raat bhar nind na aane ka sabab puchhte hain barishen aankh ki mayub na hoti hon kahin ishq ka chal kisi ujde se adab puchhte hain tira-raaton mein bhala kaise jiya jata hai mere qatil bhi to ab mujh se ye dhab puchhte hain apne shajre ko bhi hamrah liye chal rasman jang se qabl yahan nam-o-nasab puchhte hain chaarasazon ne to ab samt badal li 'amir' aao bazar mein bikte hue lab puchhte hain