kisi ka aks-e-badan tha na wo sharara tha to main ne khema-e-shab se kise pukara tha kahan kisi ko thi fursat fuzul baaton ki tamam raat wahan zikr bas tumhaara tha makan mein kya koi wahshi hawa dar aai thi tamam pairahan-e-khwab para para tha usi ko bar-e-digar dekhna nahin tha mujhe main laut aaya ki manzar wahi dobara tha subuk-sari ne girani ajib ki dil par hai ab ye bojh ki wo bojh kyun utara tha shab-e-siyah safar ye bhi raegan to nahin wo kya hua jo mere sath ek sitara tha