chhin kar koi sakun bas de gaya hai iztirab

chhin kar koi sakun bas de gaya hai iztirab
jaane kaise rabt ki ye ibtida hai iztirab

har ghadi mar kar guzaren sans atki hi rahe
jite ji marne ke jaisi hi saza hai iztirab

manzilon ke bhi nishan mubham hi karta jaega
bas musalsal ek safar hai rasta hai iztirab

khandaron ki ya bayaban ki taraf le jae jo
aisi bhatkati hui si ek sada hai iztirab

shadmani bagh ki to ho gai mismar sab
phul titli aur ghunchon mein bacha hai iztirab

chand tare phul khushbu ye guman the ishq mein
ek khula hasil hua aur ek mila hai iztirab

kaise kah dun is jahan mein koi bhi mera nahin
ajnabi har shai hai chahe aashna hai iztirab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close