chhod aae wo chashm-e-tar tanha ab samundar hai aur safar tanha sakht mushkil hai ham-khayali bhi main idhar aur wo udhar tanha ek suraj ke intizar mein hai ek sitara dam-e-sahar tanha ek safar kat gaya tumhaare sath aur ek rah gaya safar tanha bhid mein rasta nahin milta shahr aisa ki har bashar tanha aaj ghar mein nahin hai koi bhi aaj dekhunga rah ke ghar tanha