dharti ko gagan nahin karoge milne ka jatan nahin karoge dekho mujhe zist kar raha hun tum pyar sajan nahin karoge ab raat udas ho chali hai chupke se sukhan nahin karoge rahta nahin bas mein dil hamara qabu ye hiran nahin karoge taswir to ban chuki tumhaari ab do do bachan nahin karoge phulon se kalam kar rahe ho bulbul se sukhan nahin karoge bas ek zara sa dhyan de kar maston ko magan nahin karoge sakhiyan sabhi ho chukin parai tum hum se lagan nahin karoge ek tarz-e-sukhan 'sana' ne di hai taid-e-sukhan nahin karoge