chhod dun shahr tera chhod dun duniya teri mujh ko malum na tha kya hai tamanna teri main andhere mein nahin din ke ujale mein luta ab kise dhundhe hai sham-e-rukh-e-zeba teri jab koi pas-e-murawwat se karam karta hai yaad aati hai bahut ranjish-e-be-ja teri pai-ba-pai sath chhuta jata hai ek duniya ka dam-ba-dam yaad chali aati hai goya teri daman-o-dast-e-rasa baat khuda-saz to hai na-rasai bhi mashiyyat hai khudaya teri munhadim ho gai diwar-e-dil-e-diwana meri qismat mein thi taswir-e-shikasta teri tar-tar-e-nafas-e-jaan mein tera naghma hai pairahan mein hai abhi bu-e-shanasa teri ghazal-e-'shaz' hai sadqa teri ranai ka rag-e-har-sher mein hai mauj-e-sarapa teri