shajar-e-ishq hamein dar ke manand bhi hai dil kisi shakh-e-tarab-nak se paiwand bhi hai dil-e-nadan se nahin ahl-e-jahan se puchho koi misaq-e-mohabbat pe raza-mand bhi hai darguzar baam-e-wafa se ki junun-khez hawa ye charagh ek shab-e-wada ka paband bhi hai raat tanhai taaqub mein musalsal koi chap aur jab ilm ho aage ye gali band bhi hai chhod bhi aae wo ghar bhul bhi aae hain wo yaad dil mein kuchh tute hue tir ke manand bhi hai dastak-e-hijr se tuti thi meri nind so ab raat bhi baqi hai aur khwab ka dar band bhi hai