chhod ja sath magar meri dua tu le ja apne raste ke liye mera khuda tu le ja main ne mana ki khata koi nahin tujh se hui apni na-karda khataon ki saza tu le ja zakhm bharne mein to ek umr guzar jati hai khwab pal bhar mein samete hain pata tu le ja jis ke sae tale hum khwab buna karte the is yaqin hi ki ye sad-chaak rida tu le ja donon mil kar jinhen gate the tu un giton se meri aawaz na le apni sada tu le ja mere hisse ka jo hai dard use pi lunga apne hisse ka sukun apni wafa tu le ja apna rishta tha falak aur zamin ka rishta 'zahid' is mein hai jo phaila wo khala tu le ja