dil-ruba dildar dil-ara na tha shahr mein koi tere jaisa na tha na-khudai ka wo rutba le gaya umr bhar pani mein jo utra na tha krishn ne kankar bahut phenke magar ab ke radha ka ghada kachcha na tha khatm kar baitha hai khud ko bhid mein jab talak tanha tha wo marta na tha aks zahir tha magar tha ek sarab naqsh dhundla tha magar mitta na tha main jiya hun us samundar ki tarah jis ki qismat mein koi dariya na tha gard-alud aankh thi 'zahid' meri warna aaina to wo maila na tha