chhod kar apni zamin apna samundar sain main bahut dur se aaya hun tere ghar sain koi beri bhi nahin kanch ka bartan bhi nahin phir mere sahn mein kyun aate hain patthar sain barf ki god mein palte hue khamosh chinar ghair mausam mein sulag uthte hain aksar sain phul ban jate hain hathon mein mere bachchon ke meri tuti hui diwar ke patthar sain ho gain shahr ki sadken to kushada bhi magar ab kahan jaen ye footpath ke bistar sain main to poras ki tarah jang lada aur haara tu bina jang hi ban baitha sikandar sain le ke aaya hai azal hi se 'nazar-siddiqi' tute kae ki tarah apna muqaddar sain