kis jagah jata hai aur kaun se dar jata hai tere dar se jo palat aae kidhar jata hai manzar-e-am pe aata hai to dar jata hai ashk mera mere andar hi bikhar jata hai kya hua chhod ki har bar agar jata hai do ghadi mujh se magar baat to kar jata hai aaj wo zakhm ki tasir se tar jata hai wo jo kahta tha miyan zakhm hai bhar jata hai kis ki yaadon ke diye zakhm mujhe chubhte hain kaun hai jo meri aankhon mein thahar jata hai aadmi dil mein utar jae to zinda hai magar aadmi dil se utar jae to mar jata hai kis ka khun hai ki ye mitti bhi tadapne lagi hai nok-e-neza pe ye kis mard ka sar jata hai