chhod kar ghar-bar apna hasrat-e-didar mein ek tamasha ban ke aa baitha hun ku-e-yar mein dam nikal jaega hasrat se na dekh ai nakhuda ab meri qismat pe kashti chhod de manjdhaar mein dekh bhi aa baat kahne ke liye ho jaegi sirf ginti ki hain sansen ab tere bimar mein fasl-e-gul mein kis qadar manhus hai rona mera main ne jab nale kiye bijli giri gulzar mein jal gaya mera nasheman ye to main ne sun liya baghban to khairiyat se hai saba gulzar mein