ba-rang-e-sabza unhi sahilon pe jam jaen rawan hue the jahan se wahin pe tham jaen hum us ke pas se aaen wajud se bhar kar pa shart hai ki wahan surat-e-adam jaen wo be-panah khamoshi talab kare ek bar to bar bar naya lafz ban ke hum jaen moamla to ye fauri amal ka hai phir bhi meri sunen to abhi thodi der tham jaen farakh dil hai bahut wo magar miyan-'ehsas' ziyaada milta hai utna hi jitna kam jaen