chhod kar mujh ko chali ai bewafa main bhi to hun le khabar meri bhi ai tegh-e-ada main bhi to hun pi rahe hain sab piyali par piyali bazm mein meri bari bhi to aae saqiya main bhi to hun zikr jab hur-o-pari ka samne un ke hua pahle to sunte rahe wo phir kaha main bhi to hun dukht-e-raz zahid se boli mujh se ghabraate ho kyun kya tumhin ho pak-daman parsa main bhi to hun khas zahid ke liye jannat to ho sakti nahin aakhir ek banda 'sharaf' allah ka main bhi to hun