ishq hai dariya-e-atish tair kar jaane ka nam

ishq hai dariya-e-atish tair kar jaane ka nam
husn hai sehn-e-chaman mein phul barsane ka nam

raat-bhar sham-e-hazin is fikr mein jalti rahi
kyun buland aakhir hai is duniya mein parwane ka na

laila-o-shirin ki kya kuchh kahiye ab is gul ki baat
aaj hai uncha chaman mein jis ke afsane ka nam

tur-e-dil ki khair ho ab tab-e-nazzara kahan
husn ka jalwa tumhaare barq gir jaane ka nam

tu chaman hai aur teri raftar hai mauj-e-nasim
khamushi ghuncha hansi hai phul khil jaane ka nam

kahkashan hai mang teri ghaza-e-rukh chandni
qad zamin par mah-o-anjum ke utar aane ka nam

jab kabhi shanon pe zulf-e-ambarin lahra gai
bas yahi hai nikhat-e-gul ke mahak jaane ka nam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close