chhota sa ek kaam hamara nahin kiya 'basir' tumhaare yar ne achchha nahin kiya rahti rahi hai koi na koi kami zarur aisa nahin kiya kabhi waisa nahin kiya do chaar bar dekh lo khud ja ke us ke pas kuchh be-sabab to hum ne kinara nahin kiya kahte rahe ho tum use hamdard-o-gham-gusar aur us ne baat karna gawara nahin kiya gar thin nigah mein meri kotahiyan to thik aghyar ne to koi ishaara nahin kiya hairan hun log kahte hain kyon us ko chaaragar jis ne kisi mariz ko achchha nahin kiya din raat hum ko qarz chukane ki fikr hai go us ne wapsi ka taqaza nahin kiya hote jo aaj un ki nigahon mein sarfaraaz hum ne to koi kaam bhi aisa nahin kiya