nigahon ko nishana chahiye tha koi pagal diwana chahiye tha ye mana the khafa hum phir bhi lekin tumhein nazdik aana chahiye tha main apne jabr par hairan hun khud mujhe to tut jaana chahiye tha mujhe pa kar rawan sa ho rahe ho to kya tum ko zamana chahiye tha wo qissa shab rakhne ka nahin hai suna aur bhul jaana chahiye tha jise gar jaanna ho dard kya hai kisi se dil lagana chahiye tha bhulane ki yahi ek shart bhi thi mujhe wo shab aana chahiye tha wo jo aagah karta phir raha hai usi ko aazmana chahiye tha zara si baat aur tark-e-talluq tumhein to bas bahana chahiye tha