chhote chhote se mafadat liye phirte hain dar-ba-dar khud ko jo din raat liye phirte hain apni majruh anaon ko dilase de kar hath mein kasa-e-khairaat liye phirte hain shahr mein hum ne suna hai ki tere shola-nawa kuchh sulagte hue naghmat liye phirte hain mukhtalif apni kahani hai zamane bhar se munfarid hum gham-e-haalat liye phirte hain ek hum hain ki gham-e-dahr se fursat hi nahin ek wo hain ki gham-e-zat liye phirte hain