chhu ke kya zulf-e-pareshan ko saba aai hai

chhu ke kya zulf-e-pareshan ko saba aai hai
aaj diwane ne jine ki qasam khai hai

mahfil-e-naz mein har ek se shanasai hai
phir bhi har gam pe andesha-e-ruswai hai

kuchh khabar bhi hai urus-e-gham-e-dauran tujh ko
kaun si baat hamein rah pe le aai hai

itni pur-pech hai ai jaan-e-jahan rah-e-hayat
teri zulfon ki har ek gam pe yaad aai hai

jhankta rahta hai khwabon ke dariche se koi
kitni pur-kaif hamari shab-e-tanhai hai

kya tere chahne walon mein hai us ka bhi shumar
jo na diwana hai majnun hai na saudai hai

sochta hun ki na guzre kahin kuchh un pe giran
aaj phir saz-e-shikasta pe ghazal gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close