fughan ki tarah hai azan ki tarah hai har insan shah-e-jahan ki tarah hai yaqin muddaton se guman ki tarah hai ki har mausam-e-gul khizan ki tarah hai kisi gham se kamtar nahin koi bhi gham ki har gham gham-e-na-gahan ki tarah hai ye kis ki sada hai jo main sun raha hun shikast-e-dil-e-dostan ki tarah hai jahan aarzu ban ke barson rahe the wo dil aaj khali makan ki tarah hai tere sath guzra hua ek lamha kisi lamha-e-jawedan ki tarah hai jise dekhta hun main apne watan mein pareshan urdu zaban ki tarah hai