chhup-chhup ke tere hijr mein rona tha hamara

chhup-chhup ke tere hijr mein rona tha hamara
ye haal kisi roz to hona tha hamara

kar baithe hain chur us ko ye bahte hue lamhe
dil waqt ke hathon mein khilauna tha hamara

mallah bana tha to ada farz bhi karta
kya tu ne safina hi dubona tha hamara

phir ye ki har ek samt hi ugne lage khanjar
ek qatra-e-khun doston bauna tha hamara

us ne bhi uthana tha alam zulm-o-sitam ka
neze mein jigar us ne pirona tha hamara

majburi-e-haalat ki sab baat hai warna
pital ke jo bhaw bika sona tha hamara

minar se karta tha wo paimaishen 'ayyaz'
qad itna to la-raib na bauna tha hamara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close