ghubar-e-jahan mein chhupe ba-kamalon ki saf dekhta hun main ahd-e-guzishta ke aashuftagan ki taraf dekhta hun main sar ko chhupane se pahle jahan ka hadaf dekhta hun mahakte hue nek phulon ko khanjar-ba-kaf dekhta hun hai andar talak ek neza gulu main kar-e-wazu mein to is hao mein main kahan par hun kis ki taraf dekhta hun zamane ki ghaten kitabon ki baaton ko jhutla rahi hain main hairat ka mara tamashai-e-iz o sharaf dekhta hun panah mil na pai khayal-e-khuda mein jamal-e-khudi mein main is bebasi mein pareshan su-e-najaf dekhta hun