chhup gaya suraj ye kah kar sham se le sabaq duniya mere anjam se ruh ko hum ne hazaron dukh diye nafs ko rakkha bade aaram se ek bazicha samajh kar ahl-e-dil khelte hain gardish-e-ayyam se sochiye har zawiye se dahr mein kaise guzre zindagi aaram se kar diya saqi ne saghar chur chur chhin kar ek rind-e-tishna-kaam se kaun dar par rah gaya dam tod kar dekhte to tum utar kar baam se ho gaya barham nizam-e-maikada ek aawaz-e-shikast-e-jam se aakhirash fart-e-masaib par 'jali' rote rote so gaya aaram se