dast-e-nazuk se jo parde ko sanwara tum ne main ye samjha ki nawazish se pukara tum ne kya haqiqat mein gham-e-ishq se manus hue ya yun hi puchh liya haal hamara tum ne mere maktub-e-mohabbat mujhe wapas de kar kar li to hai ye mohabbat bhi gawara tum ne nsibatan aaj hijabon mein izafa kaisa ghaaliban jaan liya dil ka ishaara tum ne daur-e-mazi ke hasin git suna kar aksar aur bhi dard-e-mohabbat ko nikhaara tum ne rafta rafta na bhadak jae wo shoala ban kar rakh diya hai jo mere dil mein sharara tum ne haif-sad-haif ki duniya-e-tarab mein kho kar kar liya dard ke maron se kinara tum ne ashk kahte hain ki padh padh ke 'jali' ki ghazlen dil mein mahsus kiya dard ka dhaara tum ne