chhup jata hai phir suraj jis waqt nikalta hai koi in aankhon mein sari raat tahalta hai champai subhen pili do-pahren surmai shamen din dhalne se pahle kitne rang badalta hai din mein dhupen ban kar jaane kaun sulagta tha raat mein shabnam ban kar jaane kaun pighalta hai khamoshi ke nakhun se chhil jaya karte hain koi phir in zakhmon par aawazen malta hai raat ugalta rahta hai wo ek bada saya chhote chhote sae jo har sham nigalta hai