honkte dasht mein ek gham ka samundar dekho tum kisi roz agar dil mein utar kar dekho niklo sadkon pe to hansti hui lashon se milo band aankhen jo karo qatl ka manzar dekho aanch qurbat ki na pighla de kahin tar-e-nazar shola-e-husn ko kuchh dur se bach kar dekho ye to kahte ho ki khud main ne katai gardan koi hathon mein hawa ke bhi to khanjar dekho aastinen to kahin chupke se dho lo yaro ho kisi ko na shubah qatl ka tum par dekho dar o diwar se uthte hain ye shole kaise dosto chal ke zara ghar ke to andar dekho haddiyan gal chukin ab to na ukhedo un ko dhund len phir ye naya koi na paikar dekho main bhi is safha-e-hasti pe ubhar sakta hun rang to tum meri taswir mein bhar kar dekho ab to khilti hui kaliyon mein na dhundo mujh ko rakh hote hue ek shole ka manzar dekho phenk do tuti ummidon ke ye tukde bahar dil mein rah jae kirich koi na gad kar dekho liye aaina wafaon ka kahan phirte ho hon na hathon mein kahin andhon ke patthar dekho ek muddat se hai logon ko 'naimi' ki talash qasr-e-tanhai ki diwaren gira kar dekho