chhup kar na rah sake nigah-e-ahl-e-fan se hum mahfil mein jhankte hain naqab-e-sukhan se hum kam-bakht dhundhti hai mohabbat mein falsafa tang aa gae hain aql ke diwana-pan se hum talkhi-e-zindagi mein bhi pane lage mithas aajiz hain apni fitrat-e-kaam-o-dahan se hum paida kiya hua hai hamara hi sab farogh begana kuchh nahin hain teri anjuman se hum ai mahw-e-naz aur naya koi imtihan ukta gae hain bazi-e-dar-o-rasan se hum ek zarra hi sahi magar ai aaftab-e-naz sajde kara rahe hain teri har kiran se hum dete rahe fareb-e-manazir ke but-kade dekha kiye tujhe nigah-e-but-shikan se hum uthna hamara tha ki sabhon ki nazar uthi kuchh jaise le chalun hun teri anjuman se hum ubhra nahin hai sadgi-e-girya ka mazaq mahfil ye chahti hai ki roen bhi fan se hum