tamam shahar ko hairan karne wala hun main apni maut ka elan karne wala hun main jaanta hun ki hai faeda unhen mujh se wo sochte hain ki nuqsan karne wala hun irada kar liya ab tujh ko bhul jaane ka main khud ko be-sar-o-saman karne wala hun saja raha hun wafaon se daman-e-qirtas aur us ke pyar ko unwan karne wala hun kisi safar mein mujhe ham-safar bana 'ejaz' main teri rah ko aasan karne wala hun