chhupa kar apni kartuten hunar ki baat karte hain shajar ko katne wale samar ki baat karte hain jale hain jo nasheman rakh par un ki khade ho kar jinhon ne phunk dale ghar wo ghar ki baat karte hain anasir jis ke the mehr-o-wafa shafqat adab ghairat unhen jo bhul baitha us bashar ki baat karte hain ghire hain muddaton se jo andheron mein masaib ke nahin aati kabhi jo us sahar ki baat karte hain sabhi se bazm mein hans kar mili be-sakhta lekin nahin hum par padi jo us nazar ki baat karte hain hue taqsim jab se dushmani qaem bhi hai lekin udhar wale hamari hum udhar ki baat karte hain nahin hai rabta jin ka 'asar' pairon ke chhaalon se gharon se jo nahin nikle safar ki baat karte hain