chhupae dil mein hum akasr teri talab bhi chale kabhi kabhi tere hamrah be-sabab bhi chale numud-e-gul ke karishme sada jilau mein rahe nasim ban ke chale hum chaman mein jab bhi chale jalao khun-e-shahidan se irtiqa ke charagh ye rasm chalti rahi hai ye rasm ab bhi chale suna hai jada-nawardan-e-subh ke hamrah ba-faiz-e-waqt kai rah-rawan-e-shab bhi chale hai shor-e-shabnam-e-asudgi ke dosh-ba-dosh gul aaj le ke kahin shola-e-ghazab bhi chale kisi ka hukm-e-zaban-bandi-e-junun bhi chala kisi ke qisse sukhan ban ke zer-e-lab bhi chale hamin ne saghar-e-gham muntakhab kiya 'arif' wagarna bazm mein kuchh saghar-e-tarab bhi chale