khayal ke phul khil rahe hain bahaar ke git ga raha hun tere tasawwur ki sarzamin par nae gulistan khila raha hun main sare barbaad-kun khayalon ko dil ka mehman bana raha hun khirad ki mahfil ujad chuki hai junun ki mahfil saja raha hun udhar hai aankhon mein ek shararat idhar hai sine mein ek chubhan si nazar se wo muskura rahe hain jigar se main muskura raha hun meri musibat ye kah rahi hai khuda mujhe aazma raha hai meri ibaadat ye kah rahi hai khuda ko main aazma raha hun khudi ke mathe pe dagh-e-sajda hawas ke chehre pe tirgi hai main ek aaina le ke donon ko dur hi se dikha raha hun liya na dil ne mere sahaara ubharti maujon ka shorishon ka main apni is kashti-e-shikasta ka aap hi na-khuda raha hun mile na meri ghazal mein kyunkar shuur-e-hasti surur-e-masti 'jamil' ke mai-kade se 'ehsan' sharab-e-idrak pa raha hun