chhupata hun magar chhupta nahin dard-e-nihan phir bhi nigah-e-yas ho jati hai dil ki tarjuman phir bhi gham-e-wamandgi se be-niyaz-e-hosh baitha hun chali aati hai aawaz-e-dara-e-karwan phir bhi hijab-andar-hijab amwaj-e-tufan-e-tajalli hain farogh-e-shama se parwana hai aatish-ba-jaan phir bhi ishaaron se nigahon se bahut kuchh mana karta hun qafas hi par jhuki padti hai shakh-e-ashiyan phir bhi bahut dilchasp hai 'simab' sham-e-wadi-e-ghurbat watan ki subh mein kuchh aur thin ranginiyan phir bhi