mohabbaten jab shumar karna to sazishen bhi shumar karna jo mere hisse mein aai hain wo aziyyaten bhi shumar karna jalae rakkhungi subh tak main tumhaare raston mein apni aankhen magar kahin zabt tut jae to barishen bhi shumar karna jo harf lauh-e-wafa pe likkhe hue hain un ko bhi dekh lena jo raegan ho gain wo sari ibaraten bhi shumar karna ye sardiyon ka udas mausam ki dhadkanen barf ho gai hain jab un ki yakh-bastagi parakhna tamazaten bhi shumar karna tum apni majburiyon ke qisse zarur likhna wazahaton se jo meri aankhon mein jal-bujhi hain wo khwahishen bhi shumar karna