chhuTega ji na ji na gulistan-e-arzu

chhutega ji na ji na gulistan-e-arzu
bulbul ke chutadon mein hai paikan-e-arzu

sale jo tu hai sham-e-shabistan-e-arzu
kahte hain hum ko sokhta-saman-e-arzu

kaise nikalun dil ke main paikan-e-arzu
ye to namak-haram hai mehman-e-arzu

ullu ka pattha ghairon ko bosa diye gaya
phaila hi rah gaya mera daman-e-arzu

dekha jo mera aage se kurta phata hua
bole ki aao chaak-gareban-e-arzu

manga jo un se bosa-e-lab muskura diye
phulon se bhar diya mera daman-e-arzu

chulhe mein jal ke ho gaya biwi ka intiqal
hum phir rahe hain sokhta-saman-e-arzu

andher ho gaya dil-e-khana-kharab mein
gul ho gai hai sham-e-shabistan-e-arzu

wahshat pe meri rahm jo aaya to ye kaha
aao idhar ko chaak-gareban-e-arzu

buniyaad dal di thi tumhaare khayal ki
tamir jab hua mera aiwan-e-arzu

wada kiya hai 'bum' se milne ka raat ko
umda hua hai sine mein tufan-e-arzu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close