bula kar dushmanon ko jaan par mushkil na ban jae

bula kar dushmanon ko jaan par mushkil na ban jae
akhada faujdari ka teri mahfil na ban jae

liye phirta hai sala tin ki talwar hathon mein
jawan hone se pahle hi kahin qatil na ban jae

zamana muztarib hai meri rudad-e-alam sun kar
kahin duniya se ulfat iztirab-e-dil na bin jae

phira karte ho laila ki tarah din raat doli mein
yahi parda tumhaara parda-e-mahmil na ban jae

teri zulf-e-siyah chhoti si jo malum hoti hai
kahin aage ko ye badh kar bala-e-dil na ban jae

use hum dil nahin mitti ka ek dhela samajhte hain
ki jab tak ranj-o-gham sahne ke wo qabil na ban jae

wahi hai be-qarari aur wahi hai iztirab is mein
kahin ye surkh aansu tharthara kar dil na ban jae

lagate hi nahin wo hath mere dil ki mitti ko
unhen ye dar hai mere chhune se phir dil na ban jae

khuda ki rah mein bosa jo manga soch kar bole
ye dar hai tu hamesha ke liye sail na ban jae

janab-e-'bum' aksar be-ticket chalne ke aadi hain
kahin pakde gae to jaan par mushkil na ban jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close