chhutta hai hath se daman agar tadbir ka panw mein ehsas hota hai hamein zanjir ka hausla iman-e-kaamil zor-e-bazu chahiye mard ko zeba nahin deta gila taqdir ka tajrabe har roz hote hon nae jis shahr mein kya tajjub hai ki sar kat jae be-taqsir ka khun jis ne bhi kiya ho log ye kahte rahe naqsh tha dil par hamare aap ki shamshir ka yun sunahre khwab ke pichhe magan hai har jawan ho bahut aasan lana jaise ju-e-shir ka khidmat-e-makhluq ho ya ho adab ka tazkira main nahin qail raha hun khud-ba-khud tashhir ka gham agar aae khushi ke baad to hairat nahin ek rukh hota nahin 'shahid' kisi taswir ka