jab payam-e-visal aata hai hijr ka bhi khayal aata hai kash ye baat wo samajh pate husn par bhi zawal aata hai dard se aashna agar dil ho shaeri mein kamal aata hai un se izhaar-e-haal kaise karun zehn mein ye sawal aata hai ek had hai uruj ki 'shahid' baad is ke zawal aata hai