chiKH uThti hai Dagar raat ke sannaTe mein

chikh uthti hai dagar raat ke sannate mein
kaun hai mahw-e-safar raat ke sannate mein

khidkiyan soi hui hain abhi hamsayon ki
ro raha hai mera ghar raat ke sannate mein

thak ke footpath pe soe hain abhi kuchh mazdur
ai sadak shor na kar raat ke sannate mein

meri khidki nai taswir dikha deti hai
jag uthta hun agar raat ke sannate mein

din mein har mod pe ek hashr bapa rahta hai
aur gum-sum hai nagar raat ke sannate mein

din mein 'meraj' mere dil ko sukun milta hai
khud se darta hun magar raat ke sannate mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close