justuju-e-manzil ke raste hazaron hain

justuju-e-manzil ke raste hazaron hain
koi qafila chun lo qafile hazaron hain

sang-o-shisha takra kar tutte hain to tuten
be-shumar patthar hain aaine hazaron hain

log jhut kahte hain khush hain zindagani mein
aadmi ki hasti mein masale hazaron hain

ye na samjho maqtal ki khatm ho gain rasmen
ab bhi aazmaish ke marhale hazaron hain

main hun ek parwana jaan dun to kis par dun
be-shumar shamen hain aur diye hazaron hain

bijliyan bahut si hain ai falak tere sar mein
is zamin ke dil mein bhi zalzale hazaron hain

din se bhala koi falsafa nahin 'meraj'
waise is zamane mein falsafe hazaron hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close