chilchilati dhup manzil dur tanha raste dekhte hain hum faqiron ka tamasha raste maslahat-amez hai rasm-e-wafa bhi aaj-kal dosti ki aad mein nikle hain kya kya raste shart hai azm-e-jawan zauq-e-safar tark-e-maqam manzilen badh kar karengi khud hi paida raste ho rahi hai aaj phir mahsus yaadon ki chubhan das rahe hain aaj phir mujh ko ye tanha raste 'chand' apni zist ek bahte hue dariya si hai pattharon mein bhi jo kar leta hai paida raste