chori kaisi bhi ho ye lat bhi buri hoti hai dil chura lene ki aadat bhi buri hoti hai achchhi aadat ka nafa log utha lete hain had se ziyaada to sharafat bhi buri hoti hai ye zamana bada nazuk hai sambhal kar chaliye jaan-e-man itni nazakat bhi buri hoti hai khub shah deti hai ye aur gunah karne ko kya khuda aap ki rahmat bhi buri hoti hai dilbaron ko hai ye milne ka sunahri mauqa kaun kahta hai qayamat bhi buri hoti hai pyar ki sui bhi chubhti hai rafu karne mein chaak-e-dil ki to marammat bhi buri hoti hai pursish-e-haal ko aae hain wo gham de ke mujhe kaise kah den ki ayaadat bhi buri hoti hai kona hath aae to pallu ko pakad lete hain log thodi anjaani ijazat bhi buri hoti hai aanch aae jo usulon pe to sauda kaisa yun usulon ki tijarat bhi buri hoti hai us ne 'sahil' tumhein diwana bana rakkha hai hae kambakht mohabbat bhi buri hoti hai