chori se do ghadi jo nazare hue to kya chilman to bich mein hai ishaare hue to kya bosa-dahi ka lutf mila husn badh gaya rukhsar lal lal tumhaare hue to kya be-parda munh dikha ke mere hosh udao tum parde ki aad se jo nazare hue to kya mujh ko kudha kudha ke wo marenge jaan se dilbar hue to kya mere pyare hue to kya ai jaan muqabla mere hathon se kab hua jauban tere ubhar ke karare hue to kya ulfat ka lutf kya jo baghal hi na garm ho wo dil mein rahne wale hamare hue to kya tasir de dua mein khuda hai yahi dua unche jo donon hath hamare hue to kya bosa na de wo mujh ko to main is ko dil na dun is gore hath se jo ishaare hue to kya tum soo phail ke phulon ki sej par furqat mein hum jo gor kinare hue to kya sina mila ke sina se dil mein jagah karo phirte ho jaubanon ko ubhaare hue to kya kab khelne pakad ke hawa mein se lae wo jugnu jo aah dal ke sharare hue to kya ai jaan hai teri zulf-e-pareshan ka husn aur huron ke baal hain jo sanware hue to kya aankhen khuli bhi hun to wahi samne rahe aankhon ko band kar ke nazare hue to kya lakhon maze milen mere lab se agar milen wo gore gal aankh ke tare hue to kya yak bosa aur lunga araq munh se puchh kar wo aab aab sharm ke mare hue to kya 'mail' na ho visal to kya ishq ka maza mashuq dur se wo hamare hue to kya