jahan se hota hai pyare khuda ka nam shurua wahin se karte hum zindagi ka kaam shurua ye kaisi rah-e-safar hai ye kaisa aalam hai ki panw rakkhen jahan bhi wahin maqam shurua jahan pe hota hai dil pe nuzul-e-bar-e-azab wahin se hota hai duniya ka ye nizam shurua na socho waqt bahut kam hai zindagi kam hai jo ho sake to karo gardish-e-mudam shurua sukut o shor ke mabain koi hai maujud jahan ho khatm samaat wahin kalam shurua badi ajib hai ye dastan-e-ishq 'hamesh' sawera hone se pahle ho goya sham shurua