chot dil ko jo lage aah-e-rasa paida ho sadma shishe ko jo pahunche to sada paida ho kushta-e-tegh-e-judai hun yaqin hai mujh ko uzw se uzw qayamat mein juda paida ho hum hain bimar-e-mohabbat ye dua mangte hain misl-e-iksir na duniya mein dawa paida ho kah raha hai jaras-e-qalb ba-awaz-e-buland gum ho rahbar to abhi rah-e-khuda paida ho kis ko pahuncha nahin ai jaan tera faiz-e-qadam sang par kyun na nishan-e-kaf-e-pa paida ho mil gaya khak mein pis pis ke hasinon par main qabr par boen koi chiz hina paida ho ashk tham jaen jo furqat mein to aahen niklen khushk ho jae jo pani to hawa paida ho yan kuchh asbab ke hum bande hi muhtaj nahin na zaban ho to kahan nam-e-khuda paida ho gul tujhe dekh ke gulshan mein kahen umr daraaz shakh ke badle wahin dast-e-dua paida ho bosa manga jo dahan ka to wo kya kahne lage tu bhi manind-e-dahan ab kahin na paida ho na sar-e-zulf mila balbe daraazi teri rishta-tul-e-amal ka bhi sira paida ho kis tarah sach hai na khurshed ko rajat ho jae tujh sa aafaq mein jab mah-laqa paida ho abhi khurshed jo chhup jae to zarraat kahan tu hi pinhan ho to phir kaun bhala paida ho kya mubarak hai mera dast-e-junun ai 'nasikh' baiza-e-bum bhi tute to huma paida ho